Wednesday, 21 October 2015

Apni ankhoun kay


Apni ankhoun kay sabhi ashk baha ker sona,
Tum meri yaad ka deep bujha ker sona

Aik sitara bhi meray khiyal ka baqi na rahay,
Chandni shab kay nishanaat mita ker sona

Dar lagta hai kahien neend he na cheen lae,
Tera her roz meray khawaboun mein aa ker sona

Baad mein log gira dain tou koyi baat nahi,
Her terf piyar ki diwaar utha ker sona

Subaha hotay he teray shehar sae jana hai mujhay,
Aaj ki raat zara mujh ko mana ker sona.


Ay Kaash Baras Jaye


" Ay Kaash Baras Jaye hum par 'NOOR' Ki Barish_____!!

Mery Maula
.
.
"EMAAN" K Sheeshon Pey Bari Dhool Jami Hai_


Iqbal tere ishq

Iqbal tere ishq ne saab bal diye nikal
Mudhat se aarzu thi ke seedha karey koi



Ujray hoye logon

Ujray hoye logon se gureza na kiya kr
Halat ki kabron ke ye katbay bhi parha kr
Hr rooz ka hansna tujhe brbaad na kr de
Tanhai ke lamhay main kabhi ro bhi liya kr......

Wo Bhi Qiston

Wo Bhi Qiston Me Dikhata Hai Adaein Apni
Wo Bhi Hone Nahi Deta Mujhe Sara Pagal...



Jis Ki Fitrat Thi

Jis Ki Fitrat Thi Baghawat Karna
Tum Ne Us Dil Pe Hakoomat Ki Hai...


Ishq Nazuk Mizaaj Hai Behad

Ishq Nazuk Mizaaj Hai Behad
Aqal Ka Bojh Utha Nahi Sakta...

Hai Dua Yaad Magar

Hai Dua Yaad Magar Harf-e-Dua Yaad Nahi,
Mere Naghmaat Ko Andaaz-e-Nawa Yaad Nahi...
Rahen Ne Jin K Liye Raahon Me Bichaya Tha Lahu,
Hum Se Kehte Hain Wohi Ehd-e-Wafa Yaad Nahi...
Zindagi Jabr-e-Musalsal Ki Tarha Kaati Hai,
Jaany Kis Jurm Ki Pai Hai Saza Yaad Nahi...
Mene Palkon Se Dar-e-Yaar Pe Dastak Di Hai,
Me Wo Saail Hun Jise Koi Sada Yaad Nahi...
Kese Bhar Aain Sar-e-Shaam Kisi Ki Ankhain,
Kese Tharai Chiraghon Ki Ziya Yaad Nahi...
Sirf Dhundhlaaty Sitaray Ki Chamak Dekhi Hai,
Kab Hua Kon Hua Mujhse Juda Yaad Nahi...
Aa Ek Sajda Karen Aalam-e-Madh-Hoshi Me,
Log Kehte Hain Saghar Ko Khuda Yaad Nahi...


Mujhe Bhi Yaad Rakhna

Mujhe Bhi Yaad Rakhna Jab Likho Tareekh-e-Wafa
‘Sagar’
Ke Mein Ne Bhi Lutaya Hai Mohabbat Mein Sakoon Apna….


Mohabbat aazmani

Mohabbat aazmani ho to bas itna hi kafi hai
'Sagar'
Zara sa rooth kar dekho, manane kon aata hai....



Na Tha Kuch To Khuda Tha


Na Tha Kuch To Khuda Tha, Kuch Hota To Khuda Hota,

Dabooya Mujh Ko Hone Ne, Na Hota Mein To Kia Hota..
Hua Jab Gham Se Yun Be_His To Gham Kia Sar Ke Katne Ka,
Na Hota Gar Juda Tan Se To Zanoo Par Dhara Hota…
Hui Muddat Ke ‘Ghalib’ Mar Gaya, Par Yaad AataHai,

Wo Har Ek Baat Pe Kehna Ke Yun Hota To Kia Hota…


Ajab Mazaq Hai

Ajab Mazaq Hai Islam Ki Taqdeer K Sath
Kaata Hussain (A.S) Ka Sar Nara-e-Takbeer K Sath...