Wednesday, 21 October 2015

Apni ankhoun kay


Apni ankhoun kay sabhi ashk baha ker sona,
Tum meri yaad ka deep bujha ker sona

Aik sitara bhi meray khiyal ka baqi na rahay,
Chandni shab kay nishanaat mita ker sona

Dar lagta hai kahien neend he na cheen lae,
Tera her roz meray khawaboun mein aa ker sona

Baad mein log gira dain tou koyi baat nahi,
Her terf piyar ki diwaar utha ker sona

Subaha hotay he teray shehar sae jana hai mujhay,
Aaj ki raat zara mujh ko mana ker sona.


No comments:

Post a Comment